Wednesday, October 28, 2009

Tuesday, March 3, 2009

Saturday, September 27, 2008

Mohobbatain jab shumaar karna

Mohobbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumaar karna
jo meray hissay main aayee hain wo azyatain bhi shumaar karna
jalaye rakhongi subah tak main tumharay raston pe apni aankhain
agar kahin zabt toot jaye to baarishain bhi shumaar karna
jo harf loh e wafa pe likhay huay hain unko bhi daikh lena
jo raayegaan hogai hain wo ibaaratain bhi shumaar karna
ye sardiyon ka udas mausam k darkanain sard hogai hain
jab inki yukh bastagi parakhna tamaazatain bhi shumaar karna
tum apni mujbooriyon kay qissay zaroor likhna wazahaton say
jo meri aankhon main jal bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

(Ahmad Faraz)

Friday, September 26, 2008

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi



Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi

Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi

Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib

Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi

Wednesday, September 24, 2008

<*kashmakash*>



haa'e woh dard meiN Dooba hoaa yadooN ka hajoom
kanpte dil ka taqazza tHa keh unheeN yaad na kar
yooN bHee dunya se paraishan satane se ho'e
aur naakarda gunahooN kee pashaimanee bHee
un ko chaaha unheeN pooja yeh khatva apnee naheeN
apne anjaam se ghaafil tHe mohabat ke aseer
zindgee aik sitam aik moxeebat ke siwa
aur kuchH hum ko naZar Aa na sakee gham ke siwa
aur Is gham ka madaawa yahaaN dunya meiN naheeN
maot aisee hai jo Is gham se chuRa detee hai
kaanpte rehte heiN maazzee ke dHunlake saa'e
dil meiN Ik Tees uTHa detee hai yaadooN kee xaleeb
koshasheiN laakH karaiN un ko bHulaane kee magar
woh har Ik saans meiN samaa'e se ho'e
jaise pHolooN meiN samaa'ee ho'ee un ke khushboo
jaise sooraj kee tapash os se naheeN door kaheeN
mere Allah mere gham ka madaawaa kar de
mujH ko dunya ke har aHsaas se chHuTkaara de"

Friday, September 19, 2008

Sha Pukhla

Sha pukhla da Khday da parazma gula

Khog zargay me de daaly rawary ta la


Yar me waghist raqibanolevany shom

Abas khalq rawali tabiban ma la


da maraz zma da zre kala westay she

Ma pa veeno de lovi karay so so kala


Da matal de che da che da oor elaj pa oor she

Na joregam na joregam bewisala


Nu pa jara che akhir khwar GHANI rukhsa tshe

Warla washlavy kafan da yar da shaala